السلام علیکم
السلام علیکم
Salatul Tasbeeh Ki Fazilat
-
Hazrat e Abdullah bin abbas
R.A. se rivayat hai ki nabi e
paak s.a.w. ne 1 din apne
chacha hazrat e abbas bin
abdul muttalib r.a. se
farmaya A abbas mere
mohtaram chacha kya mein
aapki khidmat mein 1 bahut
qimti tohfa pesh karun ? Kya
aapko khaas baat bayan
karun kya mein aapke 10
kam aur 10 khidmaten
karun ? I mean aapko 1 aisa
amal batadun jisse aapko 10
fayde honge yeh 1 aisa
amal hai jissko karoge to
Allah taala aapke Tamam
gunahun ko muaaf kardega'
Agle aur pichle bhi' purane
or new' bhool se aur jaan
boojh kar hone wale bhi'
sagirah or kabirah bhi'
dhake chhupe aur zahiri bhi
yani iss amal ko karne ke
baad banda aise hojata hai
jaise aaj hi apni maa ke pet
se paida huaa ho' A chacha
ho sake to Daily yeh namaj
padhen agar na ho sake to
jumaa ko padh liya kare yeh
bhi na ho to mahine mein or
yeh bhi na kar sako to saal
mein 1 baar or yeh bhi nahi
kar sakte to Life mein 1 baar
jaroor padhen Aapke chacha
ne kaha jaldi batao Tab
sarkar e do jahan s.a.w. ne
farmaya Woh amal
Salatul_Tasbeeh ki 4 Rakaat
Hai_ Subhaan_Allah
جزاک اللہ
صبحان اللہ
1.“And of His signs is that He has created for you, from yourselves, spouses that you may gain peace through them and He has set among you love and compassion. Surely in this there are signs for thoughtful people.
Jazzak Allah khair
Bookmarks