![]() |
|
|
|||||||
| Baat cheet Discussion about anything with respect and according to rules |
![]() |
|
|
LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
|
#1
|
||||
|
||||
Ye Ek Naat ki Lyrics hain jo main.App Sub k saath Share kar raho hon. Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya Burr`haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Burr`hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi ****** Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
__________________
/\/\/\/Coming Soon With New \/\/\/\ |
|
#2
|
||||
|
||||
|
Sahi kaha
Great Sharing
__________________
![]() |
|
#3
|
||||
|
||||
|
|
|
#4
|
||||
|
||||
|
Yeh Nazam aksar Moulana Tariq Jameel Sb apnay Byan mein bhi kehtay hey.
sukhraya Meray Bhai aur agay barho. |
|
#5
|
||||
|
||||
|
Nice
__________________
|
|
#6
|
||||
|
||||
|
Quote:
Passand karny k ley Sukkriya ! |
|
#7
|
|||
|
|||
|
free bhai very nice
balke it ko aise threads ki zyada zrurat hai very nice keep it up |
|
#8
|
|||
|
|||
|
Nice Sharing
|
|
#9
|
||||
|
||||
|
Quote:
|
|
#10
|
||||
|
||||
|
Bahut Nice Jee Jazzak Allah
|
|
#11
|
||||
|
||||
|
Weldon bro...Such a nice sharing...
__________________
Whenever I lose hope, I think, it is not the end of life......and that keeps me going! |
|
#12
|
||||
|
||||
|
Very Nice Sharing
__________________
![]() |
![]() |
| Bookmarks |
(View-All)
Members who have read this thread in the last 15 days : 0
|
|
| There are no names to display. |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
Similar Threads
|
||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| ~**~ Google Earth mein kisi b jaga Picture laganay ka tareeqa ~**~ | XoOaiL | Tips and Tricks | 152 | 20th April 2012 10:40 PM |
| Jagah Ji Lagane Ki Duniya Nahin Hai | shams25 | Islam | 6 | 10th September 2009 02:57 PM |
| Jaga Jee Laganay ki Dunya nahi hai..... | Adeawan | Urdu Adab & Shayeri | 6 | 21st July 2009 10:43 PM |
| **Utho meri Duniya K Ghareebon Ko Jaga Do** | ahoor | Design Poetry | 8 | 20th July 2009 04:28 PM |
| Duniya Amal Ki Jaga Hai Dosto | Shaukat Hayat | Islam | 4 | 26th June 2009 10:42 AM |