Aey Chand yahan na nikla ker
Be Naam se sapnay dikhla ker
Yahan ulti ganga behti hai
Is dais main Andhey Hakim hain
Na dartay hain na nadim hain
Na logon k wo khadim hain
Hai yahan pay karobar buhat
Is dais main gurday biktay hain
Kuch log hain aali shan buhat
Aur kuch ka maqsad Roti hai
Wo kehtay hain sab acha hai
Aur America ka Raj he sacha hai
Yeh Dais hai Andhay logon ka
Ae Chand yahan na nikla ker!!
Bookmarks