A Mohib E Chaman A K Mil Jao Kabhi
Betaab Hen Kitne Gul A K Dekh Jao Kabhi

Musarat Bikhaere, Chaman Rangeen Kiye
Muntazir Hen Teri Deed K Idhar B Jalwa Karao Kabhi

Yakeen He K Guloon K Rang Mand Per Jain
Darmiyaan A Ker Jo Ik Pal Muskurao Kabhi

Na Inkaar Kerna Na Bus Iqraar Kerna, Bus A Jana
Wada Tha Dikhaon Ga Haseen Ik Roz, Apna Jalwa Dikaho Kabhi

Chaman Me Gul To Hen, Guloon Me Rang Hen
Bin Khusboo K Hen, A O, Inhen Mehka Jao Kabhi

Wo Manzar B Hoga Khoob Deed K Kabil
Qadmoo Ki Ahat Se Band Kaliyan Khilao Kabhi

Bhool Jain Ge Gul Suroon Ko Bulbul K
Meri Ulfat Ka Koi Naghma Sunao Kabhi

Tumhari Soorat Hi Markaz Tehre Gi Guloon Ka
Shaiq Ko Aisa Koi Manzar Dikhao Kabhi