shah sahib.

aap ne jawab dia he k allah ki koi hikmat/musulahet thi jo hum nahi samujh sektey.
beshuk hum insano ki soch mehdood he.
ALLHA ne easa(waqia saleeb) kiun kia ye to us ki hikmat/musulahet he. beshuk ALLAH sub se bara hakeem he.
lakin kaisey howa ye mukhtalif baat he.HAQ ko januney k liey k kia howa tha hum sirf koshish hi ker suktey hain. isi liey ALLAH QURANPAK pe feham ki dawat daita he.baqi hadyet ALLAH ki taruf se he.

HAZRAT MOOSA SE DIRECT HUMKALAM ka main ne INKAR nahi kia.han ye rabta jasmani kano se tha ye lazmii nahi is liey isey dalil/hujet nahi bunaya ja suktta.

app ne 2 sawal dalil k tor per pochey hain.
1-ALLAH ko hi sujdah kertey hain
2-BAITULLAH ki simat rukh muslim NABHI S.A.W ki ittayet/ ithad/ k liey kerty hain na k BAITULLAH main hum ALLAH ko tasawer(mehdood) kerty hain.na hi ALLAH KI TARUF rukh kerney ki niaet kerty hain.
ALLAH humain deikh raha he ya hum ALLAH ko daikh rahain he ye namza k ander tasawer kia jata he oar is main BAITULLAh ka koi roll nahi he.ye mosulmano k ithad k liey he oar faraz he. sujdey main aap yaqinen ALLAH ko aapney qareeb patey hon gey bagher kisi taruf(direction) k.
jazakullah app khod namazi ho main kia kahon app khud bahter jantey ho.
rahi BAITULLAH ko dalil k tor per allah ki taruf(direction) banaey ki baat . ye to mushrik ahle-islam pe ilzam k tor per lugatain hain k muslim bhi pather k gher ki pooja kertain hain jub k muslim aisa nahi kertey.

RAFAHALLAH /DURJATT KI BOLUNDI
Wazahet kerney se pehlely aap ghult kahan ho ye battane ki koshih kertan hon .kisi bi nazriey ko ghult sabet kerney k liey usey usi nazer se deakhna chahiey jis trah wo bian kia jata he ya mana jata he.sirf tahrere k alfazon se khud koi mutlab nikal ker rud nahi kerna chaiey.
Is ki main bohat si musalain dain suktta hon.musllun IQBAL k shair “hum kafuron k kafer kafer khuda humara” yani hum inkar kerney walon ka inkar kertey hain oar humara khuda bi un ka inkar kerta he.kittni khobsorat baat he ab koi sirf ilfaz ko le ker naozbillah kehna shoro ker dey to wo kahan ghult he aap sumjh suktey ho. esi trah 1 unmol tasweer(painting) jo k arts ka 1 shakar ho usey sirf daekh ker koi kahey k ye kia ghalt multh tasweer he chund lakiraen hain oar ussey rud ker de.han jiss nazriey pe who banai gai he usey jan ker samujh ker oar us nazriey k khalaf us k pass dalil hon to oar baat he sirf daikh ker rud kerna to khuch bi nahi.esi trah maarfat ka log muzaq bi uratain hain halanake kaha khuch oar gia hota he baghir sumjey itraz kia jata he.jo k ghult he .han nuzriey se ikhtalaf kerna alug baat he.
Ab mozo pe wapis ata hon.

App ne itraz kia he k ye kasi durjaat ki boludi he k yahood aaj tuk ye samujtey hain k wo HAZRAT EISA ko saleeb per zilat ki moat dainey main kamyab ho gaey.(naozbillah).yani yahood
Ki nazar main HAZRAT EISA ka to koi darja bolund nahi hoa.
Yahan main ye wazia ker don k DURJAAT MAIN BOLUNDI se kia murad he.
Durjaat main bolundi se murad rohani martabey main azafa /ALLAH k muzeed nuzdeek(qurab hasil) hona he.
Na k yahood ki nazraon main kisi darjey ka izafa hona.yahood ko shuba main rakhna hadyet se door rakhney k mutraduf he(Dillon pe mohar) saza k tor per ALLAH k nabhi se jo budikhlaqi ki us k nateejey main .
Yahood k koll ki k yahood ne HAZRAT EISA ko zillat ki moat di nafi kerney k baad.zillat ko rud kerney k liey ALLAH ne HAZRAT EISA ne jo qurbani haq pe qiam rehtey hoye di us k sileey main jo HAZRAT EISA ka ROHANI DURJA BARHAIYA(INAM K TOR PER) .bian kia .
Oar akhir main ALLAH ne appney ghalubey oar hikmat ka bian kia.

Waqia saleeb ka natija ye raha k malawas yahood aapney burey fail k nateejey main hadayet se door hoey oar HAZRAT EISA inam (durjaat main bolundi/rohani qurab) se nawazey gai.

HAZRAT EISA wapis usi yahoodi qabilay main qauen nahi gay?
Ye ALLHA ki marzi(hikmet/fail) he. Isiliey akhir main hikmat ki baat ki.
Meray khial main Q k yahood ne ALLAH K NABI(hadayet) se budikhlaqi ki isliey
Hadayet se mehroom kiey gaye.
Baqi rahi dunyavi durjey ki to
Yahood main se khuch log HAZRAT EISA pe iman bhi laye oar waqia saleeb k bad haq pe qaim bhi rahey
Bulke HAZRAT EISA k darja zaroorat se kahin ziada barha diya yah tuk k mushrik ho gaey
Oar ajj yahi mushrik ziada hain.

HAZRAT EB-NE-ABASS
HAZRAT EB-NE-ABASS ki rawayet he.oar aap ne khud likha he k oar rawayetain bhi hain.
Isley ye RAWAYET dilil/suned/hujet k tor per nahi li ja sukti.


SORAT AL-IMRAN:

Darasel iss tarujmey ko jo hum ahmedi kertain hain 1 nazriey k tehat kertey hain.aap ki nazer main ye nazria ghult he lakin rud kerey k liey bhi app ko iss nazriey ko sumjhna parey ga.ta k app doseron ki islha ker sukain.

Yun to sub ko ALLAH hi marta he phir yahan ye khena k MAIN(ALLAH) MOAT DOON GA TUJEY is ki koi waja/hikamat to honi chaheiy aor aap ka ye itraz k is me taseli ka pehlu nahi he.

YAQINEN MAIN (ALLAH) MOAT DENEY WALA HOON TUJEY
Mutlab k tumain koi qattel nahi ker sakta.lazmeen tumhari moat meri merzi se ho gin na k dushman koi ikhtiar rakhta he.
YAQINEN MAIN MOAT DOON GA ye alfaz hi appney ander ye wazan rakhtey hain k dusman nahi mar sukta.

Furaz kertain hain k main Qasim se kehtea ho k main kisi takleefda/zillat waley tarikey se ussey Lahore behjon ga saza k tor per.jub k Qasim ka Lahore jana aik na aik din lazim he.(sirf 1 duffa)
Wo app se muded talub kerta he.
App mujh se kahin ziada taqatwer/ba ikhtiar ho.
App Qasim se kehtey ho k YAQINEN MAIN LAHORE BEHJNEY WALA HON TUJEY.
Oar qasim ko aap ki rehmat me koi shuk nahi.
To kia us ki taseli nahi ho gi
Tub bi nahi jub aap usey kaho k YAQINEN MAIN LAHORE BEHJON GA TUJEY. izzat (DURJAAT MAIN BOLUNDI) k sath.
Muzeed ye k terey dushmano se tumain bachaon(PAK keron) ga tub bhi nahi.?

Ager Qasim ko yaqeen he k aap mujh se ziada taqatwer/ba ikhtiar hain.
Raheem hain
Jo keh rahain he waisa hi ho ga.
Wada k pukkey hain
Lazmun Qasim ka khof mujh se jatta rahey ga. Oar wo makumal taselli main aa jai ga.

Ye maeni leny se QURANPAK main kisi ghulti ka endasha hota he oar na hi ALLAH HAZRAT EISA se koi mazaq ker rah he (naozbillah).

Ab aap k turjamey/nazriey ka jaiza latain hain.

BESUK MAIN POORA LE LON GA TUMHAIN OAR UTHA LON GA TUM KO APNI TARUF OAR PAK KER DON GA UN LOGON SE JO KAFIR HAIN.
Es turjamey main ALLAH, HAZRAT EISA se appney 3 fail(ammal) ki basharat de raha he.
1- BESUK MAIN POORA LE LON GA TUMHAIN.(jusmani tor per)
2- UTHA LON GA TUM KO APNI TARUF.(jusmani tor per)
3- PAK KER DON GA UN LOGON SE JO KAFIR HAIN.
Pehla(1st) oar dosera(2nd) fail bilkul hum maeni hain.oar teesera(3rd)in dono(hum maemni)failon ka lazmi nateeja.in teeno failon main jo oar(arbi main wao) he.jo in teeno failon k nataej ka mukhtalif hona sabet kerta he.wasey bhi QURANPAK ALLAH ka qalam he oar lughat ki behtarin musaal he oar es tarah ki kumiuen se pak he.
.
Ab us baqi turjamey ka jaiza letain he jo aap main oar qadianio main aik jesa he.

OAR KARON GA UN LOGON KO GINHON NE ITBAH(IQRAR) KIA TUMHARA,GHALUB UN LOGON PER JINHON NE INKAR KIA QIAMAT K DIN TUK.
[dono tarajum main aap ne jo qoma(,) “INKAR KIA” k baad istamaal kia he wo “QIAMAT K DIN TUK” k baad aye ga durast ker lain].

ALLAH un logon ko ghalub kery ga jinhon ne HAZRAT EISA ka iqrar kia.
Yani us waqat k mosulmano ko.oar MAKUMAL itbah/iqrar tabi ho ga jub HAZRAT EISA ki
Tamam taleemat ko mana jai oar amal kia jai.in taleemat main HAZRAT EISA ne humarey aaqa HUZRAT MOHUMMAD S.A.W ki peashgoi bhi ki thi.yani HAZRAT MOHAMMAD S.AW. se pehley k Ahle-isalam oar AAP S.A.W k baad k muslim HAZRAT EISA k waqat se le ker QIAMET tuk k kufaron per ghalub rahain gey.
Yahan ye baat kable ghor he k es ghulbey main HAZRAT EISA ko zati/shuksi haseeat main shamil nahi kia gaya.

PHIR MERI TARUF LOAT K AANA HE TUMHAIN PUSS FAISALA KARON GA MAIN TUMHAREY DURMIAN ON BAATON KA JIN MAIN TUM BAHIM IKHTALAF KERTY THEY.

Kiuen k bahim ikhtalaf ka ziker he, oar tumharey durmian keh ker dono(HAZRAT EISA OAR MUNKAREEN EISA) ko mukhtib kia gaya he.
FAISLEY ko LOATNEY(dono ki waapsi) se mushroot kia giya he.
Yani YOME HUSHER se pehley dono fareeq k durmian faisely ka inkar kia gaya he.
HAZRAT EISA ki QIYAMAT se pehley nazool/ghulbey ki nafi hoti he.



JAMMAT KA DIFAH NA KERNA.
Shah sahib
Dunia main huzaron qisum k nuzriat hain deen k barey main.
Sub theek nahi ho suktey.
Lakin koi 1 nazria zaroor theek oar qabley qabool ho ga.
Sub hi appney morsi(abbao ijdad) nuzriat ko sahi sumjhtey hain
Isleiy itney ikhtalafat hain.
Sub se pehley humain appney nuzriat ko janchna chaiey
Es k liey dosrey nuzriat khass tor per mukhalfana nuzriat ko januna zaroori he.
Ager mukhlfana dalael /itrazat theek hon to unhey manuna appney sath naki he.
Dunia k tammam muzahib wirsey main millney walley nuzriat ko mantey hain .
Oar HAQ ki talash main bukhal se kaam laetey hain.
In mazahib/nazriat ko manuney waley aaj bhi kufare makkah wala hi jawab datey hain k humarey abbao ijdad hi sahi hain baqi sub jhotey.
Main in logon me se nahi hona chata.
Isley aapney morsi nazriat ko itrazat ki kasoti pe perakhna chata hon.
Ager aap sahi ho to mujey qail(koshish) ker lain ALLAH aap ko jiza de ga.
Main appni islah chata hon.
Oar ager mujey jamate ahmadiyya k nuzriat hi sahi lugey.meri tilash/tehqiq/taselli k baad to main zaror appney nazriat ka DAFAH bi oar TUBLIGH bi karon ga.

Jo main na samujh sakon usey faruz ker k tahqiq ko aagey barhaney k liey tiar hon.
1 guzarish he aap se k jub dalil diya kerain to sungidgi k sath appney dosery bhaion se mushwara ker lia kerain Q k kamzor dalil mujey jamaate ahmadiyya k nuzriat ko sahi sochney per mujboor kerti he.SORAT NISSA k barey main jo aap ne jawab dia k nahi SUMJH suktey.
To theek he.hum RAFAHALLAH k mozo ko jari rukh tain hain SOART AL IMRAN k tehat.
Beshuk hadayet ALLAH hi ki taruf se ha.
Main aap ka mushkoor hon jo waqat /tawaja aap mujey daitey ho.JAZAKULLAH
JAWAB KA MUNTAZIR.