Poll: Kia aap samjhtay hain Aap kay Knowledge Main Izzafa Howa hay ?????

Be advised that this is a public poll: other users can see the choice(s) you selected.

Results 1 to 12 of 61

Thread: MS Excel Main Result Tayar Karain – Step By Step

Threaded View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Mubashir Aziz's Avatar
    Mubashir Aziz is offline Senior Member+
    Last Online
    6th May 2011 @ 06:39 PM
    Join Date
    17 Mar 2009
    Posts
    588
    Threads
    27
    Credits
    0
    Thanked
    6

    Default MS Excel Main Result Tayar Karain – Step By Step

    Doostoon, WSLM::


    Mairay Pahlay wali file ( http://itdunya.com/showthread.php?t=82565 ) buhat advanced level key thi aur mujhay pata hay ka beginners / intermediate level kay liye bhi buhat mushkal thi … Iss Liye main Formula’s key parts kar diye hay ta kah aap logoon ko samjh aa saky ….. InshaAllah Akhar main hum tamam formula’s ko Ek sath bhi likhna seekhani gay …….. Ek cheez ka khayal karain kah Jump laganay key koshish bilkuk bhi nah karain keonkah jub tuk aap kay concept clear naheen hongay aap Excel main advance level key koi cheez bhi naheen bana saktay. Rutta idhar bilkul bhi naheen chalay ga sirf aur sird Conceptual work …….

    Neechay kuch detail hay file kay baray main … aap xls key file open kar kay uss main changes kar saktay hain jaisay main waqtan Fowaqtan aap logoon ko skikhta rahoon ga ………. Allah Kay Naam Say Shorou Kartay hain ………

    In attached image I have 6 column from A to G.
    Column A contains Students Names
    Column B to F contains Subjects and below their marks
    Column G have Obtained Marks
    Column H have Percentage
    Column I : Status Fail / Pass
    Column J : Grade
    Column K : If Fail then Subject Name (yah hum sub say akhar main seekhan gay ……

    Lesson-1 – Calculation 1 ….. (Calc 1 = Column G = Obtained Marks)
    Hum Ali kay tamam subjects ko Add “Jama” karma Chahtay hain) Hum ….
    1st Tareeka
    App likhain G2 cell main Ja kar =B2+C2+D2+E2+F2
    App aisay he total kartay hain na ???? Chalian Ge hamara Ans 299 Aagia ….. Iss Key bajay ek function use kartay hain SUM()

    2nd Tareeqa
    SUM()
    Syntax “Banawat:
    Sum(number1,number 2 ……. ) OR Sum(Range)

    Aap Sum main , kay sath cell ka address bhi day saktay hain , Misal Key Toor par … aap nay G2 main likha SUM(B2,C2,D2,E2,F2) Ans. 299 Aagia …..
    Aab 3rd tareeqay say kartay hain ..
    SUM (RANGE)
    Ghabranay key zaroorat naheen hay RANGE kia hay ??????
    RANGE
    Aap kissi bhi sheet main ja kar cell A1 say lay kar A8 tuk 1,2 … 8 likh dain aab Cell A11 main ja kar = sign dal kar A1 aur phir key board par say : colon dal dain aur phi A10 likh dain …. Aap dakihain gay kah A1 say A10 tuk Blue Area ban gia hay … Bus yah range hay … Ghabrana naheen yah sirf range ka introduction tha ka : sign kia karata Hum nay issay kaha hay A1 say lay A10 tuak ka area select karay ….. aab : sign iss main bata raha hay kah range nay kahan tauk ja na hay aap A10 key bajay C10 likhain aur daikhain kia ho ta hay …….
    Yahi batt hum Sum ko kah rahay hain kah Bhaijan Sum B2 say lay F2 tuk ka part ka sum karay ….. =SUM(B2:F2) aap daikhain gay B2 say lay kar F2 tuk blue line draw ho gai hay …. Aur Enter karnay par Hamaray Pass Total Marks Aa Gaiy ……..
    Aap ko 3 method pata lag gaiy hain Total Karnay kay …..

    Mujhay pata hay ka Excel ka istaa’mal jananay walay kah rahain hoon gay kah Bachoon wali batain hain leekan jub tuk New Users ko Concept clear naheen ho ga meri sheet key samjh naheen aai gi …. Fill hall itna he kafi hain … Next Lesson main jald he mulaqaat ho gi ……. Apni aara kay zaroor di jaiy ga ......


    Allah Hafiz
    Attached Images Attached Images   
    Attached Files Attached Files

Similar Threads

  1. MS EXCEL main Result Tayar Karna .....
    By Mubashir Aziz in forum General Discussion
    Replies: 50
    Last Post: 1st August 2016, 04:09 PM
  2. Replies: 35
    Last Post: 13th August 2015, 06:26 PM
  3. ~~**Adobe Photoshop main 3d Text bnayein**Step By Step**~~
    By Basit-king in forum Adobe Photoshop
    Replies: 52
    Last Post: 23rd September 2013, 05:49 PM
  4. apney hotmail account ko 2 mb se 250 mb karain step by step
    By mr.smart in forum Urdu Tutorials & Designing
    Replies: 21
    Last Post: 20th September 2013, 10:01 PM
  5. China Mobile Main ZOng FREE INTERNET ki settings step by step
    By ru4me in forum General Mobile Discussion
    Replies: 21
    Last Post: 27th November 2009, 11:42 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •