Rukhsat hua to ankh mila kr nahi gaya,
Wo kyun gaya, yeh bhi bata kr nahi gaya,
Lagta hai jaisay lot kr aa jaye ga abhi,
Jatay huay diyay bhi bujha kr nahi gaya,
Kamray main uski ab talak hai khushbu basi hui,
Jaisay wo abhi aa kr nahi gaya,
Rehnay diya na uss nay kisi kaam ka mujhe,
Aur khak main bhi mujh ko wo mila kr nahi gaya