Estarha sataya hai pareshan kia hai
goya k muhabbat nahi ehsan kia hai

socha tha k tum dosroun jaisay nahi ho gay
tum ne bhe wohi kaam meri jaan kia hai

mushkil tha bohat meray liye tark-e-ta'aluq
ye kaam bhe tum ne mera asaan kia hai

har rooz sajatay hain teray hijr main gunchay
aankhoun ko teri yaad main guldaan kia hai