Ghum-e-Tanhai







mujhae soooo khushi nahin chahiyae,mujhay ek khushi ki talaash hai
mujhae chordh k jo chalye gaye,usi zindagi ki talaash hai

meri jaan mujh se khafa hui,wo na jaane kis jahan main ja chupi
wo gali k jis main hai jaan meri,mujhay us gali ki talaash hai

hamein muflisi main sukoon tha,hamein zindagi ka ****** tha
hamein jis ne bakhsha shauoor tha,usi muflisi ki talaash hai

mujhay her kise se raha hai pyaar,chahay phool ho,chahay ho wo khaar
mujhay her kise se hai khaas uns,mujhay her kise ki talaash hai

karein baat bhi to na shoar ho,k aman ka pehla sa daur ho
mujhay shor-o-ghul nahin chahiye,mujhay khaamoshi ki talaash hai

k her ek shair ho ek hiyaat,k ho chaand taroan ki ek baraat
jise sun k log gunwaayae hosh,usi shairi ki talaash hai


hai banawati yahan pyaar bhi,kai hai aarzi-e- khumaar bhi
karein pyaar mer k bhi RAZ jo,usi aashiqee ki talaash hai.!