Garmi-e-hasrat-e-naakaam se jal jaate hain
Ham charaaghon ki tarah shaam se jal jaate hain

Bach nikalate hain agar aatish-e-sayaad se ham
sholaa-e-aatish-e-gulafaam se jal jaate hain

Khudaanumayi to nahi shevaa-e-arbaab-e-wafa
Jin ko jalanaa ho wo aaram se jal jaate hain

Shamaa jis aag mein jalti hey numaaish ke liye
Ham usi aag mein gumnam sey jal jaatey hain

Jab bhi aataa hai mera naam tere naam ke saath
Jane kyun log mere naam sey jal jaatey hain

Rabt-e-baaham pe hamein kya na kahengey dushman
Aashnaa jab tere paighaam sey jal jaatey hain ...!