Hope you are doing well!

Mere pass aik workplan ha jis ki header row F5:AC5 tk ha. Is main month k name ha Yane June 24, July 24 etc.
Row F6 se mere workplan ki activities hain yane meetings etc etc. har activity apny month k hisab sa mark ki hoi ha.
ab main ya chahta hon k har aik activity k against jis month m ya plan hoi ha uska month mjy aik cell m return aay. Mere pass formula ha lekan ya bht complex ho gaya ha mj sa. Is leye main chahtta hon k aap logon m sa koi mere madad kar de aur isko simple kar de, ya koi aur method aap logon ko malom hot u kindly share kar dain.

=TEXTJOIN(", ", TRUE, TEXT(TEXTSPLIT(TEXTJOIN(", ", TRUE, IF($F6:$AC6<>"", $F$5:$AC$5, "")), ","), "mmm-yy"))

Ya formula har row ya activity k against AC6 tak search krta ha jo cell bhe empty naee ho ga ya us m kuch bhe lekha ho ga usko return kry ga. Chay wo 1 cell ho, 2 hon ya 3 cell hon. Yane agar meeting pory 1 year m 5 dafa plan hoi ha tu ya tamam month mjy return kary ga.

Hope shayad main apna masla aap logon ko pori trah smjha saka hon.

mere pass excel 365 ha. tu koi bhe advance ya old solution chaly ga
Regards,